JANI – Fasana Lyrics

 

likhe jo Suicide notes woh bngae ganey
by god
kyun Mjhse hota nahi bhrosa mjhse bnte nhi dost
kyun mjhe neecha dikhati idher Anarhio ki fouj
me lekr dhoob jata zimedario ka bojh

Woh mere bare me yehi likhti hai
K usse mere jesi lagan kahein aur nahi dikhti hai
Woh wakif hai junoon se mere
Woh mere karname ungliyon per ginti hai

zaban ek nahi he unka baap ek nahi hai
Sb ki nazarein mjhper rahi hein Haan me ladin sahi hai

meri dillazari chorh ker yeh justujo toh dekho
Kiya utaroge tm ghusa agr hum hi na bache toh
ab kiya hi munh lgounga me in buzdillo k
Yeh chlein hawa k zor per Mehman kuch dino k
sehra sametne nikl prhe hum in Muttiyon mein
Mjhe shouk nahi rehne ka ab in surkhiyon mein

sharam se doob marein ap
dekhein chand mein bhi Dhagh
kiya hi khot ho neyat mein? dun her ghount ka hisaab

Kon seekhta he baaton se ?
Amad ati hai asmaan saaton se
Kiya kiya likhdia mitadia in haathon ne !
Dukh bayan dill in Khakoun se

Woh Tauhmatein lagaein mustaqil
woh phr bhi kitne mustahiq
Nikal phenkein khudka dill jb dekhein
Koi ho na isme mushtamil

 

Zinda Houn Mein her ek sans per mein maut se milon
Reza hoyee nakara si hein ab woh sb justojo
hein Tootey sitarey Khuda k sahare hein hum
Smbhal na parey ab
Dilkash nazarey dein ghum
mehtab se ziada nazdeek hein ab tere
jo lgja galey sb fasana sunadenge hum

Bachpan me sukoon aur ab khuahishein hein bht saari
woh khamosh hein toh kamre me hojae ek khauf taari
yeh haq lautate waqt munafiqo ko maut ari
Woh ser pakrh k bethe saazishein nhi Rok paari

Woh chamak hume raaz na ai hai
Mitgaein laakeerein qismat yeh baaz na
zehen se uljhanein Baziyab krwai
Lagi hai nazar hume ya koi hai khas tanhai

mene khudki achai per Siyahi pher di hai
baki duniya k tarazo me sachai mehngi hai
Kuste hein woh taney Brha bna phirta artist
mjhe chle the mitane saalon Krte hou kyun Saazish

ao Kaam kaj lo phr ilzaam daldo
Tjhe tarbiyat yehi mili beta maan baat ko
Mera kafila brhega mera hath thamlo
yeh Farsh kum prhega mjhe asmaan do

Zinda Houn Mein her ek sans per mein maut se milon
Reza hoyee nakara si hein ab woh sb justojo

hein Tootey sitarey Khuda k sahare hein hum
Smbhal na parey ab
Dilkash nazarey dein ghum
mehtab se ziada nazdeek hein ab tere
jo lgja galey sb fasana sunadenge hum


JANI – Fasana (Prod by @Jokhay ) Lyrics

Categorized in:

Tagged in:

,