AAGE CHAL – RAFTAAR | KALAMKAAR | Lyrics

Raftaar

Woh bole mujhe thoda aage chal
Main aage chalta chala gaya
Woh bole mujhe thoda aage badh
Main aage badhta chala gaya

Raftaar

Woh bole mujhe thoda aage badh, aage badh

San 1988, November 16
Kisi ko thi na khabar zara si
Ke aaya duniya mein ek kalakaar

Jo banega star desi hip-hop ki zubani
Yeh zalzala tufani jo lafzon mein tsunami
Jo lad gaya zamane se ban gaya kahani
Hua sab kuchh jaisa maine socha
Aadhi mehnat, aadhi rehmat thi khuda ki
Paaun rehte zameen par
Par meri aakhein aasmaan pe
Ki karun use haasil
Suna sabko banaya par khud ka
Sikha nahi tha rukna tabhi bana main kaabil

Paagal hua jab suna maine rap
Kisi dost ki wajah se

Aaj usse mera thank you
Bana zariya kamaya bhara pet maine
Logon ki pasand mein bhi hua phir shaamil
Qaatil bulate mujhe yaar mere
Kara nahi rap maine kabhi ban’ne ke liye cool
Yaar dost aaj bhi wohi
Hote dusari mein sath mere
Tab Sachdeva tha school
Gucci Versace Prada Zara sab par
Kabhi kabhi pehnun main shirt 200 wali
Taaki apni aukaat aur uss shuruaat ko
Ghalti se jaaun na bhool

Woh bole mujhe thoda aage chal
Main aage chalta chala gaya
Woh bole mujhe thoda aage badh
Main aage badhta chala gaya

Woh bole mujhe thoda aage chal
Main aage chalta chala gaya
Woh bole mujhe thoda aage badh
Main aage badhta chala gaya

Bola aage aage chal bhi
Aage chal aage aage chal
Woh bole bhai aage aage badh
Aage badh bhi bhi aage aage badh

Bade sapne dekhe din raat jo
Aisi aulaad mili mere maa baap ko
Pet kaata apna diya jo tha bas ka
Poora kiya mere har chhote mote khwaab ko
Aaj woh hain khush kehte hain kuchh kar gaya
Kaise main chukaun ab unke hisaab ko
Mili jannat mujhe mare bina dharti pe
Beta nahi paala paala ek Shehlaad ko

Chalo band karta hoon aisi baatein
Main hawa mein phaila di thodi seriousness
Aise gaane hi karunga promote
Kharchunga yahin note chaahe views aaye less
Haan yes yahan kad zyada bikta hai
Jhooth yahan hit hai such nahi dikhta hai
Kaun hit kitna hai kaisa hai kisi ko samajh nahi
Sabko hi waisa hi dikhna hai
Jinka hai kuchh aisa hi plan karo dhayan
Ke main sab kaan nakli hoon jad se mitane wala

Kehte hain mujhe rap karo slow yeh lo
Agli baar dheere main nahi gaane wala
Karo man ki, lo photo mere tann ki
Mujhse zyada sanki nahi hai tera star
Woh sky high main antrikash paar
Siyahi de gawahi kalamkaar raftaar raah

Woh bole mujhe thoda aage chal
Main aage chalta chala gaya
Woh bole mujhe thoda aage badh
Main aage badhta chala gaya

Woh bole mujhe thoda aage chal
Main aage chalta chala gaya
Woh bole mujhe thoda aage badh
Main aage badhta chala gaya

You can sack me!

Kalam hi dharam hai karni sharam na
Zakham hi zakham hai lagte marham na
Sapan hi lagan hai dukhti tapan na
Saghan hi saghan hai badhti rakam aa

Kalam hi dharam hai karni sharam na
Zakham hi zakham hai lagte marham na
Sapan hi lagan hai dukhti tapan na
Saghan hi saghan hai badhti rakam aa

Woh bole mujhe thoda aage chal


TRACK NAME – AAGE CHAL

ARTIST – RAFTAAR

RAP & LYRICS – RAFTAAR

COMPOSITION – RAFTAAR

MUSIC – SAURABH LOKHANDE

ASSISTANT – SANTOSH

SAMPLE – !LLMIND

PRODUCER ADDITIONAL VOCALS – YUNAN

AUDIO MIXED AND MASTERED BY ABHISHEK GHATAK

RECORDED AT AUDIO GARAGE LABEL – KALAMKAAR

Categorized in:

Tagged in: