LAJAWAB 2 | TAIMOUR BAIG | Prod. Raffey Anwar | Lyrics
Ab na mai karta hoon shyari, na wo pharti hai faiz hai
muhabat jail jisme hum dono umar kaid hai
rahegi gawah kabhi bola usse jhoot nahi
sawaal krne walay hain jawab dene ka mood nahi
Chor ke jana bhi ek hunar se kam nahi
Mujhe chorne ki zimedaar wo khud thi
Mujhe afsos nahi ke wo mujhe chorgai
Mujhe afsos is hai ke wo mujhe chor ke khush thi
jahan tu bole us jagah se ma hilta nahi tha
tera tho humshakal bhi sai se tujhmai milta nahi tha
marne se phele tujhse milna hai har soorat ma
Ab usse shikwa hai ke taimour usse milta nahi
cheerdia mujhe inhone rakhdo in khalo ko
Mohabat hogai tumhe chalo ab mubarak
ho
aur tum kya jaano ke ye mohabat kya hoti
Muhabat cheez hi asi jo milti qismat walo ko
andar mere, tera dia dard bheta hai
teri hi gali mai, tere bagal mai wo rehta hai
mujhse poochte ye dard kese sehta hai
kardeta bayaan, taimour gano mai sab kehta hai.
asnun ko kese roken humsab ansu tho bheta hai
jo deta dard wo wapis dard bhi leta hai
kehta hai
meri babesi ka alam ye din bhi guzaron sog mai
manga tune khula aur kahan milenge ab
Court ma
ajaenge peeche tere saray haath dhokay
tu koi unokha nahi, tujhe bhi honge dhokay
tu bhi bolega sabko ke yaar ke ma theek hun
tu bhi hasega aur mitaega asu roke
Hum do lehre hain jo aik hi bankar bheti
ye lehren wafadaar hain ye khudse nahi kehti
mai in lehron ke kinaray beth ke likhraha ye geet
wo dono lehren mile, leke bheta ye umeed
hogi meri jeet jab lehre mile dobara
lehron ne kya shor tera naam jab pukara
Is dariyaa ka koi zariya nahi ye daria seedha jaata hai
taimour kitna bura hai wo ganay bhi tho gaata hai
Waqt guzarta gaya zindagi aik dor hai
har qisam ke gum mile per tera gum kuch aur hai
wo aankhien jo mere siwa kisi ko dekhe na
per un akhon ka asal haqdaar koi aur hai
shehre dil ma kamata kese paisay
qeemat hoti meri wo takhwa kuch aur ha
tujhe dhoonde mai zindagi kardi hain basar
meri talash tu teri talash tho koi aur hai
pori raat mujhse baatien karke class mai wo sogayi thi
Uthadia tha bas ye galti mujhse hogai thi
mujhe yaad hai aik din school mai ma girgaya tha
mamuli si chot per wo rogayi thi
nafrat hai usko mujhe aur mere anay se
socha bachalunga mubahabat apni ganay ganay se
tune ab haath se lagaen hain mere marham yaad kar
aur mai choten bhi lagane laga tha isi bahane se
lagta aisa jese raat bhar wo soti nahi hai
muhabat har kisi se hoti nahi aur har kisi ko hoti nahi hai
tune mur ke bhi nahi dekha jab gayi tu dil ye torker
kamane jaata hun araam ye mai araam chorker
ye dastan sunaraha hun teri saalgira ke din
aaj teri saalgira hai na tho tu aake mujhse mil
happy birthday to you aaj tum khushiya manao
kitne dost bangaye hain uske mujhe nahi batao
maza ata tha jeene mai jab tum thi mere saath
agar ye sunrahi ho tum, tho jaanlo ye baat
teri yad mujhe aati tho khatakdeta tha foran
aaj saalgira hai teri, yaaden anay dunga aaj
Comments